Khalilur Rahman Azmi

wo din kab ke bit gae jab dil sapnon se bahalta tha

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
vo din kab ke biit ga.e jab dil sapnoñ se bahaltā thā
ghar meñ koī aa.e ki na aa.e ek diyā sā jaltā thā
yaad aatī haiñ vo shāmeñ jab rasm-o-rāh kisī se thī
ham bechain se hone lagte juuñ juuñ ye din Dhaltā thā
un galiyoñ meñ ab sunte haiñ rāteñ bhī so jaatī haiñ
jin galiyoñ meñ ham phirte the jahāñ vo chāñd nikaltā thā
vo mānūs salone chehre jaane ab kis haal meñ haiñ
jin ko dekh ke ḳhaak kā zarra zarra āñkheñ maltā thā
koī purānā sāthī bhī shāyad hī hameñ pahchān sake
varna ik din shahr-e-vafā meñ apnā sikka chaltā thā
shāyad apnā pyaar hī jhūTā thā varna dastūr ye thā
miTTī meñ jo biich bhī boyā jaatā thā vo phaltā thā
ab ke aise patjhaḌ aa.ī suukh ga.ī Daalī Daalī
aise Dhañg se koī paudā kab poshāk badaltā thā
aaj shab-e-ġham raas aa.e to apnī baat bhī rah jaa.e
andhiyāre kī kokh meñ yuuñ to pahle sūraj paltā thā
duniyā bhar kī rām-kahānī kis kis Dhañg se kah Daalī
apnī kahne jab baiThe to ik ik lafz pighaltā thā
Top Urdushayar.com