nashsha-e-mai ke sivā kitne nashe aur bhī haiñ
kuchh bahāne mire jiine ke liye aur bhī haiñ
ThanDī ThanDī sī magar ġham se hai bharpūr havā
ka.ī bādal mirī āñkhoñ se pare aur bhī haiñ
ishq-e-rusvā tire har dāġh-e-farozāñ kī qasam
mere siine meñ ka.ī zaḳhm hare aur bhī haiñ
zindagī aaj talak jaise guzārī hai na pūchh
zindagī hai to abhī kitne maze aur bhī haiñ
hijr to hijr thā ab dekhiye kyā bītegī
us kī qurbat meñ ka.ī dard na.e aur bhī haiñ
raat to ḳhair kisī tarah se kaT jā.egī
raat ke ba.ad ka.ī kos kaḌe aur bhī haiñ
ġham-e-daurāñ mire bāzū-e-shikasta se na khel
mashġhale merī javānī ke liye aur bhī haiñ
vādī-e-ġham meñ mujhe der tak āvāz na de
vādī-e-ġham ke sivā mere patte aur bhī haiñ