apnā hī shikva apnā gilā hai
ahl-e-vafā ko kyā ho gayā hai
ham jaise sarkash bhī ro diye haiñ
ab ke kuchh aisā ġham aa paḌā hai
dil kā chaman hai murjhā na jaa.e
ye āñsuoñ se sīñchā gayā hai
haañ fasl-e-gul meñ rindoñ ko saaqī
apnā lahū bhī piinā paḌā hai
ye dard yuuñ bhī thā jān-levā
kuchh aur bhī ab ke baḌhtā chalā hai
bas ek va.ada kam-baḳht vo bhī
mar mar ke jiinā sikhlā gayā hai
jurm-e-mohabbat mujh tak hī rahtā
un kā bhī dāman uljhā huā hai
ik umr guzrī hai raah takte
jiine kī shāyad ye bhī sazā hai
dil sard ho kar hī rah na jaa.e
ab ke kuchh aisī ThanDī havā hai