Khalilur Rahman Azmi

main der se dhup mein khaDa hun

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
maiñ der se dhuup meñ khaḌā huuñ
saaya saaya pukārtā huuñ
sonā huuñ kured kar to dekho
miTTī meñ dabā huā paḌā huuñ
le mujh ko sambhāl gardish-e-vaqt
TuuTā huā terā ā.īna huuñ
yuuñ rabt to hai nashāt se bhī
dar-asal maiñ ġham se āshnā huuñ
sohbat meñ guloñ kī maiñ bhī rah kar
kāñToñ kī zabāñ samajh gayā huuñ
dushman ho koī ki dost merā
har ek ke haq meñ maiñ duā huuñ
kyuuñ āb-e-hayāt ko maiñ tarsūñ
maiñ zahr-e-hayāt pī chukā huuñ
taqdīr-e-junūñ pe chup rahā maiñ
ta.abīr-e-junūñ pe ro rahā huuñ
har ahd ke log mujh se nā-ḳhush
har ahd meñ ḳhvāb dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com