tū bhī ab chhoḌ de saath ai ġham-e-duniyā merā
merī bastī meñ nahīñ koī shanāsā merā
shab-e-ġham paar lagā de ye safīnā merā
sub.h hogī to utar jā.egā dariyā merā
mujh ko mālūm nahīñ naam hai ab kyā merā
DhūñDne vaale mujhe chhoḌ de pīchhā merā
maiñ ne dekhī nahīñ barsoñ se ḳhud apnī sūrat
mere ā.īne se rūThā hai sarāpā merā
tū bhī ḳhvāboñ meñ milī maiñ bhī dhuñdlakoñ meñ tujhe
zindagī dekh kabhī ġhaur se chehrā merā
ghar se niklā huuñ to ab duur kahīñ jaane de
rok ai gardish-e-ayyām na rastā merā
do qadam dauḌ ke āvāz-e-jaras baiTh ga.ī
chal paḌā maiñ to kahīñ paañv na Thahrā merā
mere dāman meñ rahī ḳhāk-e-ġharīb-ul-vatanī
rah gayā dekh ke muñh dāman-e-sahrā merā