ham ahl-e-ġham bhī rakhte haiñ jādū-bayāniyāñ
ye aur baat hai ki sunīñ lan-tarāniyāñ
sharminda kar na mujh ko mirā haal pūchh kar
le de ke rah ga.ī haiñ yahī be-zabāniyāñ
kam kyā thā ham faqīroñ ko āshob-e-rozgār
kyuuñ yaad aa rahī haiñ tirī mehrbāniyāñ
dāman ke chaak chaak meñ hai mausam-e-bahār
aao ki ḳhūn-e-dil se kareñ guf-fishāniyāñ
ahl-e-zamāna tum bhī baḌe vaqt par mile
kuchh baar ho chalī thiiñ mirī shādmāniyāñ
tum ne bhulā diyā to na.ī baat kyā huī
rahtī haiñ yaad kis ko vafā kī kahāniyāñ
jī khol kar luTā.eñge ab terī raah meñ
tere balā-kashoñ ko milī haiñ javāniyāñ
rakh lo ki zindagī meñ kabhī kaam ā.eñgī
dīvāngān-e-ishq kī bhī kuchh nishāniyāñ