ye alag baat ki har samt se patthar aayā
sar-bulandī kā bhī ilzām mire sar aayā
zindagī chhoḌ ne aa.ī mujhe darvāze tak
raat ke pichhle pahar maiñ jo kabhī ghar aayā
bas duā hai ki ilāhī ye koī ḳhvāb na ho
koī saaya mire saa.e ke barābar aayā
bārhā sochā ki ai kaash na āñkheñ hotīñ
bārhā sāmne āñkhoñ ke vo manzar aayā
kyā kaheñ ab to ye aadat nahīñ jaatī ham se
jhuuT bhī bole to sach ban ke zabāñ par aayā
maiñ nahīñ haq meñ zamāne ko burā kahne ke
ab ke maiñ khā ke zamāne kī jo Thokar aayā
surḳhī-e-mai bhī Thahartī nahīñ har chehre par
bul-havas bhī usī mai-ḳhāne se ho kar aayā