Khalilur Rahman Azmi

bas ki pabandi-e-ain-e-wafa humse hui

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
bas ki pābandi-e-ā.īn-e-vafā ham se huī
ye agar koī ḳhatā hai to ḳhatā ham se huī
zindagī tere liye sab ko ḳhafā ham ne kiyā
apnī qismat hai ki ab tū bhī ḳhafā ham se huī
raat bhar chain se sone nahīñ detī ham ko
itnī māyūs tirī zulf-e-rasā ham se huī
sar uThāne kā bhalā aur kise yaarā thā
bas tire shahr meñ ye rasm adā ham se huī
bār-hā dast-e-sitam-gar ko qalam ham ne kiyā
bār-hā chaak añdhere kī qabā ham se huī
ham ne utne hī sar-e-rāh jalā.e haiñ charāg
jitnī bargashta zamāne kī havā ham se huī
bār-e-hastī to uThā uTh na sakā dast-e-savāl
marte marte na kabhī koī duā ham se huī
kuchh dinoñ saath lagī thī hameñ tanhā pā kar
kitnī sharminda magar mauj-e-balā ham se huī
Top Urdushayar.com