tarz jiine ke sikhātī hai mujhe
tishnagī zahr pilātī hai mujhe
raat bhar rahtī hai kis baat kī dhun
na jagātī na sulātī hai mujhe
ā.īna dekhūñ to kyūñkar dekhūñ
yaad ik shaḳhs kī aatī hai mujhe
band kartā huuñ jo āñkheñ kyā kyā
raushnī sī nazar aatī hai mujhe
koī mil jaa.e to rasta kaT jaa.e
apnī parchhā.īñ Darātī hai mujhe
ab to ye bhuul gayā kis kī talab
des pardes phirātī hai mujhe