ḳhud apnā aks huuñ ki kisī kī sadā huuñ maiñ
yuuñ shahr tā-ba-shahr jo bikhrā huā huuñ maiñ
maiñ DhūñDne chalā huuñ jo ḳhud apne-āp ko
tohmat ye mujh pe hai ki bahut ḳhud-numā huuñ maiñ
mujh se na pūchh naam mirā rūh-e-kā.enāt
ab aur kuchh nahīñ huuñ tirā ā.īna huuñ maiñ
jab niiñd aa ga.ī ho sadā-e-jaras ko bhī
merī ḳhatā yahī hai ki kyuuñ jāgtā huuñ maiñ
lā.ūñ kahāñ se DhūñDh ke maiñ apnā ham-navā
ḳhud apne har ḳhayāl se Takrā chukā huuñ maiñ
ai umr-e-rafta maiñ tujhe pahchāntā nahīñ
ab mujh ko bhuul jā ki bahut bevafā huuñ maiñ