vo ham-safīr the to qafas bhī chaman hī thā
ab jaise āshiyāñ bhī mirā āshiyāñ nahīñ
mere junūñ pe un ko ḳhalish sī zarūr hai
ye aur baat hai ki vo kuchh mehrbāñ nahīñ
sab nā-ummīd ho ke zamāne se jā mile
ahl-e-vafā kā aaj koī rāz-dāñ nahīñ
kaisī bahār kaisā chaman kaisā mai-kada
merā lahū bhī pī ke ye duniyā javāñ nahīñ
ham ahl-e-ġham ke paas dil-e-ḳhūñ-chakāñ to hai
tum ko sunā.eñ haal vo tarz-e-bayāñ nahīñ
nāseh kī zid pe charḳh ko laanā thā raah par
kaise kaheñ ki sa.i-e-junūñ rā.egāñ nahīñ