kaun sā ġham hai mire dil meñ jo mehmān nahīñ
mujh pe kam ye bhī mire yāroñ kā ehsān nahīñ
tīsha-e-vaqt ne har naqsh badal Daalā hai
kal kī tasvīr mirī aaj kī pahchān nahīñ
kam nahīñ mahr-e-daraḳhshāñ se mirā dāġh-e-jigar
matla.a-e-sub.h se kam merā girebān nahīñ
shahr-e-be-mehr meñ tū zaḳhm dikhātā hai kise
terā pursāñ koī yaañ ai dil-e-nādān nahīñ
aao mil baiTh ke ham baañT leñ bār-e-ġham-e-dil
fā.eda sab kā hai is meñ koī nuqsān nahīñ
dil meñ dar aa.e mire har koī dukh-dard samet
is meñ vus.at bhī hai aur dar pe bhī darbān nahīñ
rū-ba-rū ā.īne ke maiñ huuñ nazar vo aa.e
ho bhī saktā hai ye honā magar āsān nahīñ
dil meñ gar fikr-e-kam-o-besh na hove 'shāhid'
toda-e-ḳhāk kam-az taḳht-e-sulaimān nahīñ