Khalilur Rahman Azmi

tumhaare pas ek wahshi ne ye paigham bheja hai

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
tumhāre paas ik vahshī ne ye paiġhām bhejā hai
ki ab hijrāñ-nashīboñ ko bhulā denā hī achchhā hai
junūñ meñ yuuñ to kuchh apnī ḳhabar miltī nahīñ ham ko
ki aisā naam hai jis par abhī tak dil dhaḌaktā hai
ye maanā saḳht hai ye vādi-e-ġhurbat kī tanhā.ī
mujhe rahne de ai hamdam yahīñ ab jī bahaltā hai
dil-e-nādāñ ko raas aa.ī tumhārī kaj-adā.ī bhī
tumhārī bevafā.ī meñ bhī ik aalam nikaltā hai
yaqīñ aa kar dilāte haiñ mujhe ye qāfile vaale
zarā kuchh aur aage kūcha-e-jānāñ kā rastā hai
Top Urdushayar.com