Khalilur Rahman Azmi

darmiyan KHud apni hasti ho to hum bhi kya karen

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
darmiyāñ ḳhud apnī hastī ho to ham bhī kyā kareñ
ā.īna dekheñ ki apne-āp se pardā kareñ
haal ke sailāb meñ to bah ga.ī maazī kī laash
dafn ab kis kī galī meñ ham ġham-e-fardā kareñ
ek do pal hī rahegā sab ke chehroñ kā tilism
koī aisā ho ki jis ko der tak dekhā kareñ
ye to sach hai zahr lagte haiñ hameñ bastī ke log
kis tavaqqo par magar ābād ye sahrā kareñ
sar-phire sab jam.a hoñ sab ke saroñ par ho charāġh
bas chale to ham bhī aisā jashn ik barpā kareñ
Top Urdushayar.com