ilāhī aa na paḌe phir koī ġham-e-tāza
uḌā uḌā sā hai rū-e-nigār kā ġhāza
abhī to kitne haiñ jin par harām hai saaqī
kahīñ ye toḌ na deñ mai-kade kā darvāza
ab inqilāb kī zad meñ hai terī duniyā bhī
bahut bachā ke tū dāman chalī thī tannāza
ye ek qatra-e-ḳhūñ markaz-e-do-ālam hai
tumheñ nahīñ hai dil-e-nā-tavāñ kā andāza
bharī bahār meñ ye merī chāk-dāmānī
na jaane kab kā uThānā paḌā hai ḳhamyāza