har ghaḌī umr-e-faromāya kī qīmat māñge
mujh se ā.īna mirā merī hī sūrat māñge
duur rah kar hī jo āñkhoñ ko bhale lagte haiñ
dil-e-dīvāna magar un kī hī qurbat māñge
pūchhte kyā ho in āñkhoñ kī udāsī kā sabab
ḳhvāb jo dekhe vo ḳhvāboñ kī haqīqat māñge
apne dāman meñ chhupā le mire ashkoñ ke charāġh
aur kyā tujh se koī ai shab-e-furqat māñge
vo nigah kahtī hai baiThe raho mahfil meñ abhī
dil kī āshuftagī uThne kī ijāzat māñge
zahr pī kar bhī jiyūñ maiñ ye alag baat magar
zindagī us lab-e-rañgīñ kī halāvat māñge
zeb dete nahīñ ye turra-o-dastār mujhe
merī shorīda-sarī sañg-e-malāmat māñge