ai nāseho na aur koī guftugū karo
gar ho sake to chāk-e-garebāñ rafū karo
hotī nahīñ hai yūñhī adā ye namāz-e-ishq
yaañ shart hai ki apne lahū se vuzū karo
phir jis tarah bhī chāho karo ham pe tabsira
pahle hamārī tarah se jiine kī ḳhū karo
phir koī le gayā hai charāġhoñ kī raushnī
tā-sub.h aaj apne jigar ko lahū karo
vo to nahīñ ye us kā hī ham-shakl hai koī
ab us kī chal ke aur kahīñ justujū karo
aaj us hasīñ se mil ke ajab kaifiyat meñ huuñ
koī raqīb ho to mire rū-ba-rū karo