Khalilur Rahman Azmi

kahun ye kaise ki jine ka hausla dete

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
kahūñ ye kaise ki jiine kā hausla dete
magar yahī ki mujhe ġham koī nayā dete
shab-e-guzishta bahut tez chal rahī thī havā
sadā to dī pe kahāñ tak tujhe sadā dete
ka.ī zamāne isī pech-o-tāb meñ guzre
ki āsmāñ ko tire paañv par jhukā dete
ye kahiye lauh-e-jabīñ par hai dāġh-e-rusvā.ī
zamāne vaale hameñ ḳhaak meñ milā dete
huī thī ham se jo laġhzish to thaam lenā thā
hamāre haath tumheñ umr bhar duā dete
bhalā huā ki koī aur mil gayā tum sā
vagarna ham bhī kisī din tumheñ bhulā dete
koī ho lamha-e-fursat ki baiTh kar ham bhī
zarā urūs-e-tamannā ko ā.īna dete
milā hai jurm-e-vafā par azāb-e-mahjūrī
ham apne aap ko is se kaḌī sazā dete
zabāñ pe kis liye ye harf-e-nāgavār aatā
hamāre zaḳhm hamārā agar patā dete
zarā sī der Thahartī jo gardish-e-ayyām
use shabāb-e-gurezāñ kā vāsta dete
Top Urdushayar.com