Khalilur Rahman Azmi

sote sote chaunk paDe hum KHwab mein humne kya dekha

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
sote sote chauñk paḌe ham ḳhvāb meñ ham ne kyā dekhā
jo ḳhud ham ko DhūñD rahā ho aisā ik rastā dekhā
duur se ik parchhā.īñ dekhī apne se miltī-jultī
paas se apne chehre meñ bhī aur koī chehra dekhā
sonā lene jab nikle to har har Dher meñ miTTī thī
jab miTTī kī khoj meñ nikle sonā hī sonā dekhā
sūkhī dhartī sun letī hai paanī kī āvāzoñ ko
pyāsī āñkheñ bol uThtī haiñ ham ne ik dariyā dekhā
aaj hameñ ḳhud apne ashkoñ kī qīmat ma.alūm huī
apnī chitā meñ apne-āp ko jab ham ne jaltā dekhā
chāñdī ke se jin ke badan the sūraj ke se mukhḌe the
kuchh andhī galiyoñ meñ ham ne un kā bhī saaya dekhā
raat vahī phir baat huī nā ham ko niiñd nahīñ aa.ī
apnī ruuh ke sannāTe se shor sā ik uThtā dekhā
Top Urdushayar.com