Khalilur Rahman Azmi

us par bhi dushmanon ka kahin saya paD gaya

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
us par bhī dushmanoñ kā kahīñ saaya paḌ gayā
ġham sā purānā dost bhī āḳhir bichhaḌ gayā
jī chāhtā to baiThte yādoñ kī chhāñv meñ
aisā ghanā daraḳht bhī jaḌ se ukhaḌ gayā
ġhairoñ ne mujh ko dafn kiyā shāh-rāh par
maiñ kyuuñ na apnī ḳhaak meñ ġhairat se gaḌ gayā
ḳhalvat meñ jis kī narm-mizājī thī be-misāl
mahfil meñ be-sabab vahī mujh se akaḌ gayā
bas itnī baat thī ki ayādat ko aa.e log
dil ke har ek zaḳhm kā Tāñkā udhaḌ gayā
kis kis ko apne ḳhūn-e-jigar kā hisāb duuñ
ik qatra bach rahā hai so vo bhī nibaḌ gayā
yāroñ ne ḳhuub jā ke zamāne se sulh kī
maiñ aisā bad-dimāġh yahāñ bhī bichhaḌ gayā
kotāhiyoñ kī apnī maiñ tāvīl kyā karūñ
merā har ek khel mujhī se bigaḌ gayā
ab kyā batā.eñ kyā thā ḳhayāloñ ke shahr meñ
basne se pahle vaqt ke hāthoñ ujaḌ gayā
Top Urdushayar.com