Khalilur Rahman Azmi

hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
hai ajiib chiiz ma-e-junūñ kabhī dil kī pyaas nahīñ bujhī
magar ab milā ke to dekh luuñ zarā ek qatra-e-āgahī
mirī ḳhāmushī mirī be-hisī yahī merā rāz-e-fasurdagī
kabhī so gayā huuñ to jaag uThī hai ye dil kī choT dabī dabī
hai ye kaisī sohbat mai-kashāñ ki har ek jaam lahū lahū
yahī dostī hai to ai ḳhudā mujhe raas aa.e na dostī
hai malūl mujh se duā-e-maut ki saath us kā na de sakā
mire rāste meñ jo aa ga.ī yahī zindagī yahī zindagī
zarā aa ke sāmne baiTh jā mirī chashm-e-tar ke qarīb aa
mire ā.īne meñ bhī dekh le kabhī apnī zulf kī barhamī
yahī saath saath mire rahā maiñ isī kā pā na sakā patā
kabhī har qadam pe mujhe milā yahī aadmī yahī aadmī
mire saath saath chale the sab mirā saath koī na de sakā
mire ham-safar mire ham-nazar mirī ḳhud-sarī mirī sar-kashī
mirī samt aur bhī sāqiyā vo jo buuñd buuñd meñ zahar thā
jise aur koī na pī sakā vo sharāb mere hī muñh lagī
maiñ shahīd-e-zulmat-e-shab sahī mirī ḳhaak ko yahī justujū
koī raushnī koī raushnī koī raushnī koī raushnī
Top Urdushayar.com