phir mirī raah meñ khaḌī hogī
vahī ik shai jo ajnabī hogī
shor sā hai lahū ke dariyā meñ
kis kī āvāz aa rahī hogī
phir mirī ruuh mere ghar kā pata
mere saa.e se pūchhtī hogī
kuchh nahīñ merī zard āñkhoñ meñ
Dūbte din kī raushnī hogī
raat bhar dil se bas yahī bāteñ
din ko phir dard meñ kamī hogī
bas yahī ek buuñd aañsū kī
mere hisse kī rah ga.ī hogī
phir mire intizār meñ mirī niiñd
mere bistar pe jāgtī hogī
jaane kyuuñ ik ḳhayāl sā aayā
maiñ na hūñgā to kyā kamī hogī