ghar meñ baiThe sochā karte ham se baḌh kar kaun dukhī hai
ik din ghar kī chhat pe chaḌhe to dekhā ghar ghar aag lagī hai
jaane ham pe kyā kyā biitī tan kā lahū sab sarf huā
ruḳh kī zardī bhī hai ġhanīmat ab to apnī yahī pūñjī hai
apne-āp ko samjhāte haiñ raat Dhalī ab tū bhī so jā
ham hī akele kaise so.eñ dil kī dhaḌkan jaag rahī hai
har dam fikr ke motī roleñ par do mīThe bol na boleñ
bhed yahāñ ke kis pe kholeñ duniyā hī kañgāl huī hai
sayyad-nagrī na.ī-nirālī bhor-phaTe sab raddī vaale
roz pukāreñ raddī becho āḳhir kitnī raddī hai