dil kī rah jaa.e na dil meñ ye kahānī kah lo
chāhe do harf likho chāhe zabānī kah lo
maiñ ne marne kī duā māñgī vo puurī na huī
bas isī ko mire jiine kī nishānī kah lo
sarsar-e-vaqt uḌā le ga.ī rūdād-e-hayāt
vahī aurāq jinheñ ahd-e-javānī kah lo
jab nahīñ shāḳh-e-chaman par to mirā naam hī kyā
barg āvāra kaho barg-e-ḳhizānī kah lo
tum se kahne kī na thī baat magar kah baiThā
ab use merī tabī.at kī ravānī kah lo
vahī ik qissa zamāne ko mirā yaad rahā
vahī ik baat jise aaj purānī kah lo
ham pe jo guzrī hai bas us ko raqam karte haiñ
āp-bītī kaho yā marsiya-ḳhvānī kah lo