hañgāma-e-hayāt se jāñ-bar na ho sakā
ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakā
merā lahū bhī pī ke na duniyā javāñ huī
qīmat mire junūñ kī mirā sar na ho sakā
terī galī se chhuT ke na jā-e-amāñ milī
ab ke to merā ghar bhī mirā ghar na ho sakā
tere na ho sake to kisī ke na ho sake
ye kārobār-e-shauq mukarrar na ho sakā
yuuñ jī bahal gayā hai tirī yaad se magar
terā ḳhayāl tere barābar na ho sakā
guzrī jo shab to bujh ga.e apne charāġh bhī
aa.ī sahar to phir koī rahbar na ho sakā