bane-banā.e se rastoñ kā silsila niklā
nayā safar bhī bahut hī gurez-pā niklā
na jaane kis kī hameñ umr bhar talāsh rahī
jise qarīb se dekhā vo dūsrā niklā
hameñ to raas na aa.ī kisī kī mahfil bhī
koī ḳhudā koī ham-sāya-e-ḳhudā niklā
hazār tarah kī mai pī hazār tarah ke zahr
na pyaas hī bujhī apnī na hausla niklā
hamāre paas se guzrī thī ek parchhā.īñ
pukārā ham ne to sadiyoñ kā fāsla niklā
ab apne-āp ko DhūñDeñ kahāñ kahāñ jā kar
adam se tā-ba-adam apnā naqsh-e-pā niklā