sar-kashī ko jab ham ne ham-rikāb rakhnā hai
TūTne bikharne kā kyā hisāb rakhnā hai
ek ek saa.at meñ zindagī samonī hai
ek ek jazbe meñ inqalāb rakhnā hai
raat ke añdheroñ se jañg karne vāloñ ne
sub.h kī hathelī par āftāb rakhnā hai
ham pe us se vājib haiñ koshisheñ baġhāvat kī
tum ne jis qabīle ko kāmyāb rakhnā hai
rakh do ham faqīroñ kī is kushāda jholī meñ
apnī bādshāhī kā jo azaab rakhnā hai
tum to ḳhud zamāne meñ jabr kī alāmat ho
tum ne jabr kyā zer-e-ehtisāb rakhnā hai
shahr-e-be-amāñ ham ne naqd-e-jāñ luTā kar bhī
tere har darīche par kal kā ḳhvāb rakhnā hai