Sarwar Arman

zamanon se dar-e-imkan par rakkhe hue hain

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
zamānoñ se dar-e-imkān par rakkhe hue haiñ
charāġhoñ kī tarah tūfān par rakkhe hue haiñ
fazāoñ meñ mahak jalne kī bū phailī huī hai
kisī ne phuul ātish-dān par rakkhe hue haiñ
zarā sā bhī gumāñ terī shabāhat kā thā jin par
vo sab chehre mirī pahchān par rakkhe hue haiñ
ḳhushī ko DhūñDhnā mumkin nahīñ is kaifiyat meñ
kuchh aise sānehe muskān par rakkhe hue haiñ
koī terī parastish kī nahīñ sūrat nikaltī
hazāroñ kufr ik īmān par rakkhe hue haiñ
shikam-serī se pahle lamha-bhar ko soch lenā
hamāre ḳhvāb dastar-ḳhvān par rakkhe hue haiñ
kisī ke roz-o-shab bikne kī qīmat chand luqme
to kyā vo bhī tire ehsān par rakkhe hue haiñ
Top Urdushayar.com