ik ajab kaifiyat-e-hosh-rubā taarī thī
qarya-e-jāñ meñ kisī jashn kī tayyārī thī
sar jhukā.e hue maqtal meñ khaḌe the jallād
taḳhta-e-dār pe laTkī huī ḳhuddārī thī
ḳhuun hī ḳhuun thā darbār kī dīvāroñ par
qābiz-e-taḳht-e-virāsat kī riyā-kārī thī
ek saa.at jo tirī zulf ke saa.e meñ kaTī
hijr bar-dosh zamānoñ se kahīñ bhārī thī
aur sab Thiik thā bas ham se bhulā.ī na ga.ī
tere ḳhāmosh ravayye meñ jo be-zārī thī
ik qayāmat thī ki rusvā sar-e-bāzār the ham
aur phir us kī vo tashvīsh bhī bāzārī thī
tere mahkūm tire hāshiya-bar-dāroñ kī
sirf vardī hī nahīñ soch bhī sarkārī thī