Sarwar Arman

raushni se tirgi tabir kar di jaegi

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
raushnī se tīrgī ta.abīr kar dī jā.egī
rañg se mahrūm har tasvīr kar dī jā.egī
adl ke me.aar meñ aa jā.eñgī tabdīliyāñ
be-gunāhī lā.eq-e-tāzīr kar dī jā.egī
har nazar ko ārzūoñ kā samundar baḳhsh kar
har zabāñ par tishnagī tahrīr kar dī jā.egī
dab ke rah jā.eñge jazboñ ke ujāle ek din
zulmat-e-iflās ālamgīr kar dī jā.egī
har kalā.ī har tamannā har haqīqat har vafā
āshnā-e-halqa-e-zanjīr kar dī jā.egī
bāñjh ho kar rah gayā jis vaqt dhartī kā badan
tab hamāre naam ye jāgīr kar dī jā.egī
dafn kar ke is kī buniyādoñ meñ insānoñ ke sar
ik mohazzab shahr kī ta.amīr kar dī jā.egī
Top Urdushayar.com