Sarwar Arman

in aankhon mein kai sapne kai arman the lekin

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
in āñkhoñ meñ ka.ī sapne ka.ī armān the lekin
sukūt-e-lab kī tah meñ kis qadar tūfān the lekin
aqīdat kab thī isnād-e-shu.ūr-e-fahm kī qaa.il
hujūm-e-shahr kā kuchh pārsā īmān the lekin
rasā.ī manzil-e-maqsūd tak mumkin sī lagtī thī
ba-zāhir āgahī ke marhale āsān the lekin
lagā kar un ko dil se maiñ safar kartā rahā barsoñ
vo kuchh lamhe jo mere hausloñ kī jaan the lekin
agarche kuchh nigāheñ tiir barsātī rahīñ paiham
agarche kuchh ravayye bā.is-e-nuqsān the lekin
qalam un par uThānā chāhtā thā maiñ ba-har-sūrat
mire chāroñ taraf bikhre hue unvān the lekin
umūr-e-saltanat takrār-e-ādāb-e-shahanshāhī
murassā ḳhvāb-gāheñ masnadeñ dālān the lekin
ye tahrīreñ ye tasvīreñ ye sab qisse ye sab chehre
mire guzre hue ayyām kī pahchān the lekin
kabhī ham dar-ba-dar bhī maañ kī aqlīm-e-mohabbat ke
sārīr-ārā.ī mutlaq baḳht-var sultān the lekin
Top Urdushayar.com