qurbateñ na ban paa.e fāsle simaT kar bhī
ham ki ajnabī Thahre aap se lipaT kar bhī
hādsoñ ne har sūrat apnī zad meñ rakhnā thā
ham ne chal ke dekhā hai rāste se haT kar bhī
āgahī kī manzil se lauT jaa.eñ ham kaise
us jagah nahīñ jaa.ez dekhnā palaT kar bhī
ham ne laakh samjhāyā dil magar nahīñ maanā
mutma.in sā lagtā hai kirchiyoñ meñ baT kar bhī
dasht-e-dil se jo uTThā ho ke sūrat-e-shabnam
rah gayā hai palkoñ par vo ġhubār chhaT kar bhī
pattharoñ ke tūfāñ meñ dil-numā gharoñdoñ ne
aazmā liyā āḳhir ḳhud ko aaj DaT kar bhī
dā.eroñ ke raahī the manzileñ kahāñ miltīñ
be-murād haiñ paañv gard-e-rah se aT kar bhī