shab-e-tārīk chup thī dar-o-dīvār chup the
numūd-e-sub.h-e-nau ke sabhī āsār chup the
tamāshā dekhte the hamāre zabt-e-ġham kā
musallat ek Dar thā lab-e-iz.hār chup the
havā.eñ chīḳhtī thiiñ fazā.eñ gūñjtī thiiñ
qabīla baT rahā thā magar sardār chup the
girātā kaun baḌh kar bhalā dīvār-e-zulmat
ujāloñ ke payambar pas-e-dīvār chup the
matā-e-ābrū ko bachā sakte the lekin
muhāfiz sar-nigūñ the to pahre-dār chup the
nahīñ hai is se baḌh kar koī tauhīn fan kī
ḳharīde jā rahe the magar fankār chup the
zamāna chāhtā thā kahānī kā tasalsul
magar parde ke pīchhe sabhī kirdār chup the