Firdaus Gayavi

ye sach nahin ki tamazat se Dar gai hai nadi

Firdaus Gayavi

1954
ye sach nahīñ ki tamāzat se Dar ga.ī hai nadī
sukūn-e-dil ke liye apne ghar ga.ī hai nadī
abhī to pahne huī thī libās-e-ḳhāmoshī
ye kyā huā ki achānak biphar ga.ī hai nadī
hameñ ye Dar hai ki phir se biphar na jaa.e kahīñ
qadam baḌhāo ki is vaqt utar ga.ī hai nadī
vo shaḳhs taḌpā na chillāyā aur mar bhī gayā
patā chalā nahīñ kab vaar kar ga.ī hai nadī
nahīñ milī jo rifāqat kisī samundar kī
to reza reza sī ho kar bikhar ga.ī hai nadī
na jaane aaj tū itnī malūl sī kyuuñ hai
ye kyā huā ki tirī aañkh bhar ga.ī hai nadī
sunā sunā ke ġhamoñ kī kahāniyāñ 'firdaus'
mujhe to aur bhī ġhamgīn kar ga.ī hai nadī
Top Urdushayar.com