Sarwar Arman

sahar-o-sham mein tanzim kahan hoti hai

Sarwar Arman

Narowal, Punjab, Pakistan

1953
sahar-o-shām meñ tanzīm kahāñ hotī hai
ḳhvāhish-e-sub.h kī tajsīm kahāñ hotī hai
luuT le jaatā hai bas chaltā hai jis kā jitnā
raushnī shahr meñ taqsīm kahāñ hotī hai
un mohalloñ meñ jahāñ ham ne guzārī hai hayāt
madrase hote haiñ ta.alīm kahāñ hotī hai
shahryāroñ ne ujāḌā ho jise hāthoñ se
phir se ābād vo aqlīm kahāñ hotī hai
tairte haiñ jo ġhulāmoñ kī jhukī āñkhoñ meñ
un savālāt kī tafhīm kahāñ hotī hai
jis kā e.azāz tire dar kī gadā.ī ho use
umr-bhar ḳhū-e-zar-o-sīm kahāñ hotī hai
ham ġharīboñ kī jabīñ par kisī jābir ke huzūr
tohmat-e-sajda-e-taslīm kahāñ hotī hai
Top Urdushayar.com