Firdaus Gayavi

na mein yaqin mein rakhkhun na to guman mein rakh

Firdaus Gayavi

1954
na meñ yaqīn meñ rakhkhūñ na to gumān meñ rakh
hai sab kī baat to phir sab ke darmiyān meñ rakh
vo dhuup meñ jo rahegā to ruup kho degā
chhupā le siine meñ palkoñ ke sā.ebān meñ rakh
mire badan ko tū apne badan kī aañch na de
jo ho sake to mirī jaan apnī jaan meñ rakh
na baiThne de kabhī azm ke parinde ko
uḌaan bhuul na jaa.e sadā uḌaan meñ rakh
mohabbateñ nahīñ miltīñ mohabbatoñ ke baġhair
use na bhuul tū 'firdaus' apne dhyān meñ rakh
Top Urdushayar.com