Firdaus Gayavi

doston ki ata hai KHamoshi

Firdaus Gayavi

1954
dostoñ kī atā hai ḳhāmoshī
ab mirā mudda.ā hai ḳhāmoshī
alam kī ibtidā hai hañgāma
alam kī intihā hai ḳhāmoshī
dard ke shahr meñ hai ghar merā
mere ghar kā patā hai ḳhāmoshī
is taraf maiñ huuñ us taraf vo haiñ
biich kā fāsla hai ḳhāmoshī
bhīgtī raat kī hathelī par
misl-e-rañg-e-hinā hai ḳhāmoshī
dosto ḳhud talak pahuñchne kā
muḳhtasar rāsta hai ḳhāmoshī
kaash samjheñ zabān vaale bhī
be zabāñ kī duā hai ḳhāmoshī
marne vaale ne ye kahā 'firdaus'
zindagī kā sila hai ḳhāmoshī
Top Urdushayar.com