zālim hai vo aisā ki jafā bhī nahīñ kartā
raste se bichhaḌne kā galā bhī nahīñ kartā
har jurm-o-ḳhatā se mire vāqif hai vo phir bhī
tajvīz mare naam sazā bhī nahīñ kartā
insān hai vo koī farishta to nahīñ hai
hairat hai magar koī ḳhatā bhī nahīñ kartā
har shaḳhs se vo haath milā letā hai rasman
lekin vo kabhī dil se milā bhī nahīñ kartā
vaise to banā rahtā hai vo putlā vafā kā
kyā haal hai merā vo patā bhī nahīñ kartā
is taur se us ne mujhe barbād kiyā hai
aise to zamāne meñ ḳhudā bhī nahīñ kartā
'firdaus' se milnā ho to maiḳhāne meñ DhūñDo
vo shaḳhs to ab ghar meñ rahā bhī nahīñ kartā