kahte haiñ ki de merī balā daad kisī kī
kānoñ ko maza detī hai fariyād kisī kī
ronā hai tirā kaam magar dīda-e-tar dekh
tasvīr-e-ḳhyālī na ho barbād kisī kī
kartā huuñ gila un se jo vīrāni-e-dil kā
kahte haiñ ye bastī nahīñ ābād kisī kī
ābād ḳhudā rakkhe tujhe kū-e-mohabbat
miTTī nahīñ hotī yahāñ barbād kisī kī
kuchh aur to ham paas 'mubārak' nahīñ rakhte
rakhtā hai tamannā dil-e-nāshād kisī kī