Mubarak Azimabadi

tamashai to hain tamasha nahin hai

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
tamāshā.ī to haiñ tamāshā nahīñ hai
girā hai vo parda ki uThtā nahīñ hai
ye kis kī nazar de ga.ī rog yā-rab
sambhāle se ab dil sambhaltā nahīñ hai
taḌap jā.iyegā taḌap jā.iyegā
taḌapnā hamārā tamāshā nahīñ hai
bahut phāñs niklī bahut ḳhaar nikle
magar dil kā kāñTā nikaltā nahīñ hai
ye har shaḳhs kī lan-tarānī hai kaisī
ki har aañkh to chashm-e-mūsā nahīñ hai
salāmat mirī vahshat-e-dil salāmat
kahāñ merī vahshat kā charchā nahīñ hai
mirī jaan bhī hai ināyat tumhārī
ye dil bhī tumhārā hai merā nahīñ hai
bulā.ī ga.ī un kī mahfil meñ duniyā
magar ek merā bulāvā nahīñ hai
zarā aap samjhā.iye dil ko nāseh
maiñ samjhā rahā huuñ samajhtā nahīñ hai
tumheñ dekhne ko tarastī haiñ āñkheñ
bahut din hue tum ko dekhā nahīñ hai
Top Urdushayar.com