Mubarak Azimabadi

ishq ki chausar kis ne kheli ye to khel hamare hain

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
ishq kī chausar kis ne khelī ye to khel hamāre haiñ
dil kī baazī maat huī to jaan kī baazī haare haiñ
kaise kaise laḳht-e-jigar haiñ kyā kyā dil ke paare haiñ
aise la.al kahāñ duniyā meñ jaise la.al hamāre haiñ
is ko maarā us ko maarā ye bismil vo TuuT gayā
nok palak vāloñ se Dariye qātil un ke ishāre haiñ
chhalnī chhalnī dil bhī jigar bhī rauzan rauzan siina bhī
ek nigāh-e-nāz ne terī tiir hazāroñ maare haiñ
phūñk rahā hai soz-e-nihānī kaun is aag pe Daale paanī
dil kī lagī ne aag lagā dī daaġh nahīñ añgāre haiñ
lāla-ruḳhoñ meñ umr gizārī dekhī un kī fasl-e-bahār
aaj bhī gul se gāloñ vaale mujh ko 'mubārak' pyāre haiñ
Top Urdushayar.com