Mubarak Azimabadi

begana-e-wafa tera shewa hi aur hai

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
begāna-e-vafā tirā sheva hī aur hai
ahl-e-vafā kā taur-tarīqa hī aur hai
dair o haram kī raah meñ rakhte nahīñ qadam
ham rah-ravān-e-shauq kā rasta hī aur hai
dil bevafā ke haath na bechegā bā-vafā
tum se nahīñ banegā ye saudā hī aur hai
allāh dil na tum ko taḌaptā huā dikhā.e
dekhā na jā.egā ye tamāshā hī aur hai
jalva-farosh aap haiñ maiñ dil-farosh huuñ
aisoñ se kyā banegā ye saudā hī aur hai
TukḌe haiñ dil jigar ke 'mubārak' ki sher haiñ
ġhazloñ kā aap kī to safīna hī aur hai
Top Urdushayar.com