jabīñ par ḳhaak hai ye kis ke dar kī
balā.eñ le rahā huuñ apne sar kī
ubhar aa.ī haiñ phir choTeñ jigar kī
salāmat barchhiyāñ tirchhī nazar kī
qayāmat kī haqīqat jāntā huuñ
ye ik Thokar hai mere fitnagar kī
kiyā majbūr ā.īn-e-vafā ne
na karnī thī vafā tum se magar kī
na mānoge na mānoge hamārī
udhar ho jā.egī duniyā idhar kī
huī an-ban kisī se mujh pe barse
balā.eñ mere sar dushman ke sar kī
na tere husn-e-be-parvā kī ġhāyat
na koī had mire zauq-e-nazar kī