Ateeq Ahmad

shajar se mil ke jo rone laga tha

Ateeq Ahmad

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1995
shajar se mil ke jo rone lagā thā
parinda Daar se bichhḌā huā thā
Thahartā hī na thā dariyā kahīñ par
magar tasvīr meñ dekhā gayā thā
maiñ tishna-lab agarche lauT aayā
magar dariyā ko ye mahñgā paḌā thā
darūn-e-dil ḳhalish aisī khulī thī
ki jis kā rañg chehre par uḌā thā
maiñ jab niklā tamannā ke safar par
mire raste meñ ik sahrā paḌā thā
ye duniyā jis ghaḌī guzrī yahāñ se
maiñ tere ḳhvāb meñ khoyā huā thā
mohabbat aag hai aisī ki jalnā
diloñ ke baḳht meñ likkhā gayā thā
Top Urdushayar.com