yahāñ kyā hai vahāñ kyā hai idhar kyā hai udhar kyā hai
koī samjhe to kyā samjhe vo nairañg-e-nazar kyā hai
na ho jis sar meñ saudā sarfaroshī kā vo sar kyā hai
na phūñke ḳhirman-e-hastī to vo soz-e-jigar kyā hai
tire andāz ke bismil haiñ ham ham se koī pūchhe
tirī bāñkī adā kyā hai tirī tirchhī nazar kyā hai
jahāñ sāmān vahshat ke use vahshat-sarā kahiye
jahāñ asbāb-e-vīrānī vo vīrāna hai ghar kyā hai
ga.e vo aur ye kahte ga.e o jazb-e-dil vaale
mujhe bhī dekhnā hai jazba-e-dil kā asar kyā hai