parde parde meñ bahut mujh pe tire vaar chale
saaf ab halq pe ḳhanjar chale talvār chale
dūri-e-manzil-e-maqsad koī ham se pūchhe
baiThe sau baar ham us raah meñ sau baar chale
kaun pāmāl huā us kī balā dekhtī hai
dekhtā apnī hī jo shoḳhi-e-raftār chale
be-piye chaltā hai yuuñ jhuum ke vo mast-e-shabāb
jis tarah pī ke koī rind-e-qadah-ḳhvār chale
chashm o abrū kī ye sāzish jigar o dil ko naved
ek kā tiir chale ek kī talvār chale
kuchh is andāz se sayyād ne āzād kiyā
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftār chale
jis ko rahnā ho rahe qaidi-e-zindāñ ho kar
ham to ai ham-nafaso phāñd ke dīvār chale
phir 'mubārak' vahī ghanghor ghaTā.eñ aa.iiñ
jānib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-ḳhvār chale