dard-e-dil yaar rahā dard se yaarī na ga.ī
zindagī ham se to be-lutf gizārī na ga.ī
din ke naale na ga.e raat kī zaarī na ga.ī
na ga.ī dil se kabhī yaad tumhārī na ga.ī
ham to ḳhūñ-gashta tamannāoñ ke mātam meñ rahe
sīna-kūbī na ga.ī sīna-figārī na ga.ī
intizār aap kā kab lutf se ḳhālī niklā
rā.egāñ raat kisī roz hamārī na ga.ī
baḳhshvāyā mujhe tum ne to ḳhudā ne baḳhshā
na ga.ī roz-e-jazā baat tumhārī na ga.ī
log kahte haiñ badaltā hai zamāna lekin
din hamārā na gayā raat hamārī na ga.ī