Mubarak Azimabadi

chitwan jo qahr ki hai to tewar jalal ke

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
chitvan jo qahr kī hai to tevar jalāl ke
matlab ye hai ki rakh de kaleja nikāl ke
vaa.iz se bahs-e-bāda-o-paimāna kyā karūñ
kuchh log rah ga.e haiñ purāne ḳhayāl ke
sau daaġh jin ke laa.e haiñ zer-e-mazār ham
ehsāñ jatā rahe haiñ vo do phuul Daal ke
phir DhūñDhtā hai dil ḳhalish-e-ḳhār-e-ārzū
pachhtā rahā huuñ dil se ye kāñTā nikāl ke
ye ġham-kada hai is meñ 'mubārak' ḳhushī kahāñ
ġham ko ḳhushī banā koī pahlū nikāl ke
Top Urdushayar.com