maiñ apnī sochoñ meñ ek dariyā banā rahā thā
jo TuuTī phūTī sī kashtiyoñ ko chalā rahā thā
tumhāre jaane ke ba.ad bilkul hañsā nahīñ maiñ
shikasta-pā ho ke apne andar ko khā rahā thā
vo band kamre meñ merī yādeñ piro rahī thī
maiñ bazm-e-imkāñ se ḳhvāb jis ke uThā rahā thā
mirī nigah meñ ye ek manzar rukā huā hai
ki ek sahrā thā aur dariyā banā rahā thā
vo tere aane kī thī ḳhushī ki 'atīq-ahmad'
jo ghar meñ qaidī the sab parinde uḌā rahā thā