samjhā.eñ kis tarah dil-e-nā-kardā-kār ko
ye dostī samajhtā hai dushman ke pyaar ko
niklā chamak ke mohr-e-qayāmat bhī aur ham
baiThe rahe chhupā.e dil dāġhdār ko
saaqī na mai na jaam na miinā na mai-kada
aamad bahār kī ho mubārak bahār ko
kyā kyā bigāḌ meñ bhī adā.eñ haiñ dil-fareb
kitne banāv aate haiñ gesū-e-yār ko
nāseh kā imtihān 'mubārak' ho ek din
thoḌī pilā ke dekhiye us hoshiyār ko